sukun nasib na ho dur iztirab na ho
sukūñ nasīb na ho duur iztirāb na ho
vo dard de mujhe jis kā koī javāb na ho
husūl-e-hāsil-e-ulfat meñ yuuñ ḳharāb na ho
fuzūl dil kahīñ vābastā-e-azāb na ho
sharāb-e-nāb kī har mauj par mujhe shak hai
kisī hasīñ kā machaltā huā shabāb na ho
uThā ba-shauq qadam tishna-kām-e-vādī-e-ishq
tirī nigāh kā hāsil kahīñ sarāb na ho
kisī ke tīr-e-nazar dil meñ is adā se chubheñ
ki zaḳhm gahre paḌeñ dil meñ iztirāb na ho
ye dil-farebī-e-har-barg-e-gul are tauba
jamāl-e-nāz kī bikhrī huī kitāb na ho
javāb-e-arz-e-tamanna se dil rahā mahrūm
vo kyā savāl jo sharminda-e-javāb na ho
jamāl-e-tūr jise kah rahe haiñ ahl-e-jamāl
kahīñ vo husn kā ik partav-e-naqāb na ho
vafā kā shīsha-e-dil bhī hai kitnā nāzuk sā
ajab hunar hai ki is kā koī javāb na ho
jahān-e-dil kā jo zarra hai vo munavvar hai
vo dāġh-e-dil nahīñ jo rashk-e-āftāb na ho
mizāj-e-husn haqīqat meñ ik qayāmat hai
kisī ke shauq meñ insāñ koī ḳharāb na ho
nigāh-e-shauq 'ziyā' ham use na māneñge
jo bārgāh-e-tajalli meñ bāryāb na ho
sukun nasib na ho dur iztirab na ho
wo dard de mujhe jis ka koi jawab na ho
husul-e-hasil-e-ulfat mein yun KHarab na ho
fuzul dil kahin wabasta-e-azab na ho
sharab-e-nab ki har mauj par mujhe shak hai
kisi hasin ka machalta hua shabab na ho
uTha ba-shauq qadam tishna-kaam-e-wadi-e-ishq
teri nigah ka hasil kahin sarab na ho
kisi ke tir-e-nazar dil mein is ada se chubhen
ki zaKHm gahre paDen dil mein iztirab na ho
ye dil-farebi-e-har-barg-e-gul are tauba
jamal-e-naz ki bikhri hui kitab na ho
jawab-e-arz-e-tamanna se dil raha mahrum
wo kya sawal jo sharminda-e-jawab na ho
jamal-e-tur jise kah rahe hain ahl-e-jamal
kahin wo husn ka ek partaw-e-naqab na ho
wafa ka shisha-e-dil bhi hai kitna nazuk sa
ajab hunar hai ki is ka koi jawab na ho
jahan-e-dil ka jo zarra hai wo munawwar hai
wo dagh-e-dil nahin jo rashk-e-aftab na ho
mizaj-e-husn haqiqat mein ek qayamat hai
kisi ke shauq mein insan koi KHarab na ho
nigah-e-shauq 'ziya' hum use na manenge
jo bargah-e-tajalli mein baryab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.