sukun-o-sabr ki duniya mein nam karta ja
sukūn-o-sabr kī duniyā meñ naam kartā jā
jo ho sakā na kisī se vo kaam kartā jā
nigāh pher ke jā shauq se ḳhudā-hāfiz
kisī ġharīb kā qissa tamām kartā jā
tasavvurāt meñ aa aa ke bhāgne vaale
bahisht-e-qalb-o-nazar meñ qayām kartā jā
guzār dūñgā tire intizār kī ghaḌiyāñ
mujhe asīr-e-ġham-e-sub.h-o-shām kartā jā
'hayāt' ne to faqat tujh se dil lagāyā thā
ye kab kahā thā ki jiinā harām kartā jā
sukun-o-sabr ki duniya mein nam karta ja
jo ho saka na kisi se wo kaam karta ja
nigah pher ke ja shauq se KHuda-hafiz
kisi gharib ka qissa tamam karta ja
tasawwuraat mein aa aa ke bhagne wale
bahisht-e-qalb-o-nazar mein qayam karta ja
guzar dunga tere intizar ki ghaDiyan
mujhe asir-e-gham-e-subh-o-sham karta ja
'hayat' ne to faqat tujh se dil lagaya tha
ye kab kaha tha ki jina haram karta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.