sukun se kaun bhala pyar kar ke rahta hai
sukūñ se kaun bhalā pyaar kar ke rahtā hai
lage ye choT to patthar se ḳhuun bahtā hai
sune baġhaur chubhan ko samā.at-e-ehsās
vo baat gul nahīñ kahtā jo ḳhaar kahtā
mujhe bhī kachche ghaḌe par biThā diyā jaa.e
mirī ragoñ meñ bhī dariyā-e-ishq bahtā hai
dikhā.e to koī qātil ke sāmne jā kar
ye merā dil hai jo hañs hañs ke vaar sahtā hai
jabhī to jāgnā paḌtā hai raat bhar mujh ko
charāġh sā mire siine meñ jaltā rahtā hai
zaḳhīra āñsuoñ kā us meñ kis qadar hogā
jo tere zahr bhare qahqahoñ ko sahtā hai
zarūr apne zamāne kā hai valī 'vājid'
jo apne jism ko bhī ik farār kahtā hai
sukun se kaun bhala pyar kar ke rahta hai
lage ye choT to patthar se KHun bahta hai
sune baghaur chubhan ko samaat-e-ehsas
wo baat gul nahin kahta jo KHar kahta
mujhe bhi kachche ghaDe par biTha diya jae
meri ragon mein bhi dariya-e-ishq bahta hai
dikhae to koi qatil ke samne ja kar
ye mera dil hai jo hans hans ke war sahta hai
jabhi to jagna paDta hai raat bhar mujh ko
charagh sa mere sine mein jalta rahta hai
zaKHira aansuon ka us mein kis qadar hoga
jo tere zahr bhare qahqahon ko sahta hai
zarur apne zamane ka hai wali 'wajid'
jo apne jism ko bhi ek farar kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.