sukun se raat bitate the mauj karte the
sukūñ se raat bitāte the mauj karte the
jab us ke ḳhvāb na aate the mauj karte the
fuzūl aa ga.e sahrā se shahr meñ ham log
vahāñ pe ḳhaak uḌāte the mauj karte the
ghire hue haiñ zamāne ke ab azāboñ se
ye log nāchte gaate the mauj karte the
kisī ke rang meñ Dhalne se ho ga.e be-rang
ham apne rang banāte the mauj karte the
amīr-e-shahr ke pakvān se hue bīmār
namak se roTiyāñ khāte the mauj karte the
ham us kī bazm meñ tāḳhīr se ga.e har baar
jo log vaqt pe aate the mauj karte the
sukun se raat bitate the mauj karte the
jab us ke KHwab na aate the mauj karte the
fuzul aa gae sahra se shahr mein hum log
wahan pe KHak uDate the mauj karte the
ghire hue hain zamane ke ab azabon se
ye log nachte gate the mauj karte the
kisi ke rang mein Dhalne se ho gae be-rang
hum apne rang banate the mauj karte the
amir-e-shahr ke pakwan se hue bimar
namak se roTiyan khate the mauj karte the
hum us ki bazm mein taKHir se gae har bar
jo log waqt pe aate the mauj karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.