sukut-e-gham ko bhi tarz-e-bayan kahna hi paDta hai
sukut-e-gham ko bhi tarz-e-bayan kahna hi paDta hai
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
sukūt-e-ġham ko bhī tarz-e-bayāñ kahnā hī paḌtā hai
mohabbat meñ ḳhamoshī ko zabāñ kahnā hī paḌtā hai
kabhī ham meherbāñ ko meherbāñ kahte bhī Darte haiñ
kabhī nā-mehrbāñ ko meherbāñ kahnā hī paḌtā hai
taqāzā-e-vafā kahiye ise yā maslahat kahiye
zabāñ rakh kar bhī ḳhud ko be-zabāñ kahnā hī paḌtā hai
kahāñ tak zabt kā dāman na chhoḌeñ ham bhī insāñ haiñ
kisī se to kabhī dard-e-nihāñ kahnā hī paḌtā hai
kabhī aisā bhī hotā hai ki ḳhud manzil se ghabrā kar
ġhubār-e-kārvāñ ko kārvāñ kahnā hī paḌtā hai
mayassar jis qafas meñ ho gulistāñ kī sī āzādī
to phir aise qafas ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
guzar jaate haiñ jo lamhe tirī yādoñ ke saa.e meñ
unheñ taskīn-e-dil ārām-e-jāñ kahnā hī paḌtā hai
jahāñ sayyād rakh detā hai kuchh tinke nasheman ke
hameñ phir us jagah ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
harīm-e-nāz meñ fariyād kā kyā kaam ai 'jauhar'
fuġhāñ ko bhī yahāñ nang-e-fuġhāñ kahnā hī paḌtā hai
sukut-e-gham ko bhi tarz-e-bayan kahna hi paDta hai
mohabbat mein KHamoshi ko zaban kahna hi paDta hai
kabhi hum meherban ko meherban kahte bhi Darte hain
kabhi na-mehrban ko meherban kahna hi paDta hai
taqaza-e-wafa kahiye ise ya maslahat kahiye
zaban rakh kar bhi KHud ko be-zaban kahna hi paDta hai
kahan tak zabt ka daman na chhoDen hum bhi insan hain
kisi se to kabhi dard-e-nihan kahna hi paDta hai
kabhi aisa bhi hota hai ki KHud manzil se ghabra kar
ghubar-e-karwan ko karwan kahna hi paDta hai
mayassar jis qafas mein ho gulistan ki si aazadi
to phir aise qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai
guzar jate hain jo lamhe teri yaadon ke sae mein
unhen taskin-e-dil aaram-e-jaan kahna hi paDta hai
jahan sayyaad rakh deta hai kuchh tinke nasheman ke
hamein phir us jagah ko aashiyan kahna hi paDta hai
harim-e-naz mein fariyaad ka kya kaam ai 'jauhar'
fughan ko bhi yahan nang-e-fughan kahna hi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.