sukut-e-husn mein bhi ek afsana nazar aaya
sukūt-e-husn meñ bhī ek afsāna nazar aaya
vahī zikr-e-vafā lekin ba-unvān-e-digar aaya
sar-e-mizhgāñ lahū misl-e-charāġh-e-rah-guzar aaya
baḌī mushkil se is duniyā ko andāz-e-sahar aaya
nigāh-e-nāz meñ behad fusūn-e-parda-dārī hai
ki us mahfil se jo aaya nihāyat be-ḳhabar aaya
ise ḳhūn-e-shahīdān-e-vafā kā mo.ajiza kahiye
zamāne tak shu.ūr-e-maslak-e-shām-o-sahar aaya
mizāj-e-ishq kī ḳhātir abhī duniyā nahīñ badlī
tirā jalva ba-qaid-e-zauq har lahza nazar aaya
kahīñ mauj-e-sitam shāmil na ho bād-e-bahārī meñ
hameñ larzīda larzīda gulistāñ bhī nazar aaya
koī samjhe to ye me.arāj hai dard-e-rifāqat kī
mire hamrāh manzil tak ġhubār-e-rahguzar aaya
ġham-e-dil kī nigahbānī bahut dushvār hai 'saifī'
ki har taaza nafas ehsās-e-dil se bā-ḳhabar aaya
sukut-e-husn mein bhi ek afsana nazar aaya
wahi zikr-e-wafa lekin ba-unwan-e-digar aaya
sar-e-mizhgan lahu misl-e-charagh-e-rah-guzar aaya
baDi mushkil se is duniya ko andaz-e-sahar aaya
nigah-e-naz mein behad fusun-e-parda-dari hai
ki us mahfil se jo aaya nihayat be-KHabar aaya
ise KHun-e-shahidan-e-wafa ka moajiza kahiye
zamane tak shuur-e-maslak-e-sham-o-sahar aaya
mizaj-e-ishq ki KHatir abhi duniya nahin badli
tera jalwa ba-qaid-e-zauq har lahza nazar aaya
kahin mauj-e-sitam shamil na ho baad-e-bahaari mein
hamein larzida larzida gulistan bhi nazar aaya
koi samjhe to ye mearaj hai dard-e-rifaqat ki
mere hamrah manzil tak ghubar-e-rahguzar aaya
gham-e-dil ki nigahbani bahut dushwar hai 'saifi'
ki har taza nafas ehsas-e-dil se ba-KHabar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.