sukut-e-‘ishq mein Duba hua wo ek laDka
sukūt-e-‘ishq meñ Duubā huā vo ik laḌkā
charāġh-e-hijr jalātā huā vo ik laḌkā
pata karo use sahrā meñ kaun le aayā
har ik baat pe hañstā huā vo ik laḌkā
zarūratoñ ke taqāzoñ meñ TūTtā bantā
bahut qarīb se dekhā huā vo ik laḌkā
na jaane kaun sī duniyā meñ kho gayā āḳhir
tirī galī se guzartā huā vo ik laḌkā
mohabbatoñ ke hasīñ ḳhvāb le ke āñkhoñ meñ
‘bashīr-badr' ko paḌhtā huā vo ik laḌkā
qalam laboñ meñ dabā.e hue vo ik laḌkī
usī kā 'aks banātā huā vo ik laḌkā
talāsh kījiye 'nādir' purāne album meñ
kisī kī chaah meñ bhaTkā huā vo ik laḌkā
sukut-e-‘ishq mein Duba hua wo ek laDka
charagh-e-hijr jalata hua wo ek laDka
pata karo use sahra mein kaun le aaya
har ek baat pe hansta hua wo ek laDka
zaruraton ke taqazon mein TuTta banta
bahut qarib se dekha hua wo ek laDka
na jaane kaun si duniya mein kho gaya aaKHir
teri gali se guzarta hua wo ek laDka
mohabbaton ke hasin KHwab le ke aankhon mein
‘bashir-badr' ko paDhta hua wo ek laDka
qalam labon mein dabae hue wo ek laDki
usi ka 'aks banata hua wo ek laDka
talash kijiye 'nadir' purane album mein
kisi ki chah mein bhaTka hua wo ek laDka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.