sukut-e-shab ko toDa ja raha hai
sukūt-e-shab ko toḌā jā rahā hai
charāġhoñ ko jhiñjhoḌā jā rahā hai
kisī qābil na chhoḌā jā rahā hai
hameñ kitnā nichoḌā jā rahā hai
jahāñ se nā-tavāñ ham ho rahe haiñ
vahīñ se ham ko toḌā jā rahā hai
unheñ merī sharāfat khal rahī hai
mujhe logoñ se joḌā jā rahā hai
sukut-e-shab ko toDa ja raha hai
charaghon ko jhinjhoDa ja raha hai
kisi qabil na chhoDa ja raha hai
hamein kitna nichoDa ja raha hai
jahan se na-tawan hum ho rahe hain
wahin se hum ko toDa ja raha hai
unhen meri sharafat khal rahi hai
mujhe logon se joDa ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.