sukut-e-shab mein teri yaad dil mein yun aai
sukūt-e-shab meñ tirī yaad dil meñ yuuñ aa.ī
bajā rahā ho koī duur jaise shahnā.ī
ḳhud apne ġham se lipaT kar 'shahāb' so jaao
thakī thakī sī shab-e-hijr ḳhatm par aa.ī
kisī ko ranjish-e-be-jā bhī ab nahīñ ham se
khanak ke TuuT gayā sāġhar-e-shanāsā.ī
bhulāne vaale mire din guzar hī jā.eñge
magar Dase na tujhe shām-e-ġham kī tanhā.ī
na koī va.ada na koī yaqīn thā phir bhī
tumhārī raah meñ shab bhar nigāh dauḌā.ī
kuchh is tarah se uThīñ merī samt vo nazreñ
ki jaise jaag uThe sub.h le ke añgḌā.ī
udāsiyoñ ne kahā ab yahāñ nahīñ koī
kabhī nazar jo tire bām-o-dar se Takrā.ī
'shahāb' hī kā fasāna na sun liyā ho kahīñ
falak pe kyuuñ ye sitāroñ kī aañkh bhar aa.ī
sukut-e-shab mein teri yaad dil mein yun aai
baja raha ho koi dur jaise shahnai
KHud apne gham se lipaT kar 'shahab' so jao
thaki thaki si shab-e-hijr KHatm par aai
kisi ko ranjish-e-be-ja bhi ab nahin hum se
khanak ke TuT gaya saghar-e-shanasai
bhulane wale mere din guzar hi jaenge
magar Dase na tujhe sham-e-gham ki tanhai
na koi wada na koi yaqin tha phir bhi
tumhaari rah mein shab bhar nigah dauDai
kuchh is tarah se uThin meri samt wo nazren
ki jaise jag uThe subh le ke angDai
udasiyon ne kaha ab yahan nahin koi
kabhi nazar jo tere baam-o-dar se Takrai
'shahab' hi ka fasana na sun liya ho kahin
falak pe kyun ye sitaron ki aankh bhar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.