sukut-e-shar se pighalte hain waqiat bahut
sukūt-e-shar se pighalte haiñ vāqi.āt bahut
hamāre shahr pe bhārī hai aaj raat bahut
duā.eñ maañg ke lauTe haiñ sāhiloñ se log
bisāt-e-nūr pe zinda hai kā.enāt bahut
maiñ ḳhud ko DhūñDne niklā to dekhtā kyā huuñ
hisār bāñdh ke chup haiñ vo hādsāt bahut
chalā huuñ aag lagāne maiñ ghar ke jañgal ko
darāz ho ga.e duniyā meñ is ke haath bahut
sukut-e-shar se pighalte hain waqiat bahut
hamare shahr pe bhaari hai aaj raat bahut
duaen mang ke lauTe hain sahilon se log
bisat-e-nur pe zinda hai kaenat bahut
main KHud ko DhunDne nikla to dekhta kya hun
hisar bandh ke chup hain wo hadsat bahut
chala hun aag lagane main ghar ke jangal ko
daraaz ho gae duniya mein is ke hath bahut
- Book : Taziyana (Pg. 157)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.