sukut toDega aankhon ko aabju karega
sukūt toḌegā āñkhoñ ko aabjū karegā
jo kal 'adū ne kiyā thā vo aaj tū karegā
maiñ haath rakhtā huuñ sar par sadā yatīmoñ ke
yahī ‘amal mujhe duniyā meñ surḳh-rū karegā
ḳhud apne haath se apnā vujūd chaak kiyā
yahī umiid ki tū aa.egā rafū karegā
tavīl 'arse ke baa'd aaj ye ghaḌī aa.ī
ki terā 'ishq mire dil se guftugū karegā
kisī ke haq meñ du'ā kar ke dekhiye sāhab
farishta aap kī sohbat kī aarzū karegā
maiñ us nigāh kā mehvar nahīñ huā ab tak
vo mujh ko sūrat-e-ḳhāshāk kū-ba-kū karegā
tirī hathelī ko dulhan koī banā na sakā
ye kaam dekhnā ab ke mirā lahū karegā
kisī kā hijr muassar hai is qadar 'āfāq'
ki chāñd baam pe aane kī justujū karegā
sukut toDega aankhon ko aabju karega
jo kal 'adu ne kiya tha wo aaj tu karega
main hath rakhta hun sar par sada yatimon ke
yahi ‘amal mujhe duniya mein surKH-ru karega
KHud apne hath se apna wujud chaak kiya
yahi umid ki tu aaega rafu karega
tawil 'arse ke ba'd aaj ye ghaDi aai
ki tera 'ishq mere dil se guftugu karega
kisi ke haq mein du'a kar ke dekhiye sahab
farishta aap ki sohbat ki aarzu karega
main us nigah ka mehwar nahin hua ab tak
wo mujh ko surat-e-KHashak ku-ba-ku karega
teri hatheli ko dulhan koi bana na saka
ye kaam dekhna ab ke mera lahu karega
kisi ka hijr muassar hai is qadar 'afaq'
ki chand baam pe aane ki justuju karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.