sukut toDne ka ehtimam karna chahiye
sukūt toḌne kā ehtimām karnā chāhiye
kabhī-kabhār ḳhud se bhī kalām karnā chāhiye
adab meñ jhuknā chāhiye salām karnā chāhiye
ḳhirad tujhe junūn ko imaam karnā chāhiye
ulajh ga.e haiñ saare taar ab mire ḳhudā tujhe
tavīl dāstāñ kā iḳhtitām karnā chāhiye
tamām log nafratoñ ke zahr meñ bujhe hue
mohabbatoñ ke silsiloñ ko aam karnā chāhiye
mire lahū tū chashm aur ashk se gurez kar
tujhe ragoñ ke darmiyāñ ḳhirām karnā chāhiye
sukut toDne ka ehtimam karna chahiye
kabhi-kabhaar KHud se bhi kalam karna chahiye
adab mein jhukna chahiye salam karna chahiye
KHirad tujhe junun ko imam karna chahiye
ulajh gae hain sare tar ab mere KHuda tujhe
tawil dastan ka iKHtitam karna chahiye
tamam log nafraton ke zahr mein bujhe hue
mohabbaton ke silsilon ko aam karna chahiye
mere lahu tu chashm aur ashk se gurez kar
tujhe ragon ke darmiyan KHiram karna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.