sukūt TūTne vaalā hai hādsa hogā
maiñ jāntā huuñ ki phir koī sāneha hogā
maiñ apne aap ko ruk kar sameT luuñ ab bhī
ki is se aage bahut saḳht marhala hogā
har ek manzar-e-ḳhush-rañg be-panāh sahī
mirī nazar meñ vahī aks gum-shuda hogā
nishān pā.egā apnā na is safar meñ vo
jahāñ bhī jā.egā sunsān rāsta hogā
hamārī ruuh hamāre badan ko tarsegī
hamāre biich to sadiyoñ kā fāsla hogā
na rū-ba-rū kisī ḳhvāhish kī tishnagī hogī
na us ke hoñToñ kā shādāb zā.iqa hogā
hamārā zauq-e-hunar hai sadāqatoñ kā amiiñ
hamāre haq meñ bhalā kaise faisla hogā
sukut TuTne wala hai hadsa hoga
main jaanta hun ki phir koi saneha hoga
main apne aap ko ruk kar sameT lun ab bhi
ki is se aage bahut saKHt marhala hoga
har ek manzar-e-KHush-rang be-panah sahi
meri nazar mein wahi aks gum-shuda hoga
nishan paega apna na is safar mein wo
jahan bhi jaega sunsan rasta hoga
hamari ruh hamare badan ko tarsegi
hamare bich to sadiyon ka fasla hoga
na ru-ba-ru kisi KHwahish ki tishnagi hogi
na us ke honTon ka shadab zaiqa hoga
hamara zauq-e-hunar hai sadaqaton ka amin
hamare haq mein bhala kaise faisla hoga
- Book : Sahra Mein Ek Boond (Pg. 59)
- Author : Naz Quadri
- Publication : Maktaba Sadaf, Muzaffarpur (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.