sukut us ka hai sabr-e-jamil ki surat
sukūt us kā hai sabr-e-jamīl kī sūrat
maiñ jis ke lab pe thā sahar-e-tavīl kī sūrat
kisī ko merī zarūrat nahīñ so be-masraf
gaḌā huā huuñ kisī ghar meñ kiil kī sūrat
maiñ rahtā ḳhema-e-jāñ ab kahāñ ye nasb karūñ
chaTaḳh rahā hai badan ḳhushk jhiil kī sūrat
utar gayā hai payambar koī mire andar
Thahar gayā huuñ maiñ dariyā-e-nīl kī sūrat
sukut us ka hai sabr-e-jamil ki surat
main jis ke lab pe tha sahar-e-tawil ki surat
kisi ko meri zarurat nahin so be-masraf
gaDa hua hun kisi ghar mein kil ki surat
main rahta KHema-e-jaan ab kahan ye nasb karun
chaTaKH raha hai badan KHushk jhil ki surat
utar gaya hai payambar koi mere andar
Thahar gaya hun main dariya-e-nil ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.