Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sulag raha hai koi shaKHs kyun abas mujh mein

Abdullah Kamal

sulag raha hai koi shaKHs kyun abas mujh mein

Abdullah Kamal

MORE BYAbdullah Kamal

    Interesting Fact

    1976

    sulag rahā hai koī shaḳhs kyuuñ abas mujh meñ

    bujhegā kaise abhī sho.ala-e-nafas mujh meñ

    ajiib dard jaagā hai baa.eñ paslī meñ

    ajab sharār-e-talab hai pesh-o-pas mujh meñ

    maiñ shāḳh shāḳh se lipTūñ shajar shajar chūmūñ

    panap rahī hai ajab lazzat-e-havas mujh meñ

    na koī naqsh-e-yaqīñ hai na koī aks-e-gumāñ

    dhuāñ dhuāñ hai abhī se nayā baras mujh meñ

    na ziist koī halchal na maut fuġhāñ

    hai kohar kohar ik shahr-e-be-haras mujh meñ

    bas ik parinda par phaḌphaḌā ke chīḳhtā hai

    bahut udaas hai ab mausam-e-qafas mujh meñ

    kabhī to guzre idhar se bhī tund mauj-e-havā

    haiñ jam.a kitne mausam ke ḳhār-o-ḳhas mujh meñ

    sulag raha hai koi shaKHs kyun abas mujh mein

    bujhega kaise abhi shoala-e-nafas mujh mein

    ajib dard sa jaga hai baen pasli mein

    ajab sharar-e-talab sa hai pesh-o-pas mujh mein

    main shaKH shaKH se lipTun shajar shajar chumun

    panap rahi hai ajab lazzat-e-hawas mujh mein

    na koi naqsh-e-yaqin hai na koi aks-e-guman

    dhuan dhuan hai abhi se naya baras mujh mein

    na zist ki koi halchal na maut hi ki fughan

    hai kohar kohar sa ek shahr-e-be-haras mujh mein

    bas ek parinda sa par phaDphaDa ke chiKHta hai

    bahut udas hai ab mausam-e-qafas mujh mein

    kabhi to guzre idhar se bhi tund mauj-e-hawa

    hain jama kitne hi mausam ke KHar-o-KHas mujh mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now