sulagta dasht bahut jis ke intizar mein tha
sulagtā dasht bahut jis ke intizār meñ thā
vo abr uljhā huā bahr-e-be-kanār meñ thā
har ek samt havā ke aziim lashkar the
aur ik charāġh hī maidān-e-kār-zār meñ thā
khiñchī huī thī mire gird vāhimoñ kī fasīl
maiñ qaid apne banā.e hue hisār meñ thā
mire shajar pe magar phuul phal nahīñ aa.e
vo yuuñ to phalte daraḳhtoñ hī kī qatār meñ thā
koī kamīñ thā na mehmān aane vaalā thā
kivāḌ jaane khulā kis ke intizār meñ thā
zamīñ kī pyaas kā bādal ko thā ḳhayāl bahut
magar barasnā samandar ke iḳhtiyār meñ thā
khulī fazā thī magar paañv meñ thiiñ zanjīreñ
ajiib kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār meñ thā
sulagta dasht bahut jis ke intizar mein tha
wo abr uljha hua bahr-e-be-kanar mein tha
har ek samt hawa ke azim lashkar the
aur ek charagh hi maidan-e-kar-zar mein tha
khinchi hui thi mere gird wahimon ki fasil
main qaid apne banae hue hisar mein tha
mere shajar pe magar phul phal nahin aae
wo yun to phalte daraKHton hi ki qatar mein tha
koi kamin tha na mehman aane wala tha
kiwaD jaane khula kis ke intizar mein tha
zamin ki pyas ka baadal ko tha KHayal bahut
magar barasna samandar ke iKHtiyar mein tha
khuli faza thi magar panw mein thin zanjiren
ajib kashmakash-e-jabr-o-iKHtiyar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.