sulagta dasht yakayak bujha nahin karta
sulagtā dasht yakāyak bujhā nahīñ kartā
ye vaqt-e-hijr hai aise kaTā nahīñ kartā
zarā sā farq hai shīshe meñ aur is dil meñ
ye TūTtā to hai lekin sadā nahīñ kartā
diloñ meñ ishq kī khetī afiim jaisī hai
ki is ke ba.ad yahāñ kuchh ugā nahīñ kartā
kuchh ek log mohabbat se ḳhauf khāte haiñ
sabhī ko mausam-e-bārāñ harā nahīñ kartā
patā ye hijr se itnā to chal gayā mujh ko
koī kisī se bichhaḌ kar marā nahīñ kartā
ye zaḳhm lāzmī hai haal kī gavāhī ko
yahī maiñ soch ke in kī davā nahīñ kartā
kuchh ek roz se ik bekalī sī rahtī hai
kahīñ vo yaad to mujh ko kiyā nahīñ kartā
sulagta dasht yakayak bujha nahin karta
ye waqt-e-hijr hai aise kaTa nahin karta
zara sa farq hai shishe mein aur is dil mein
ye TuTta to hai lekin sada nahin karta
dilon mein ishq ki kheti afim jaisi hai
ki is ke baad yahan kuchh uga nahin karta
kuchh ek log mohabbat se KHauf khate hain
sabhi ko mausam-e-baran hara nahin karta
pata ye hijr se itna to chal gaya mujh ko
koi kisi se bichhaD kar mara nahin karta
ye zaKHm lazmi hai haal ki gawahi ko
yahi main soch ke in ki dawa nahin karta
kuchh ek roz se ek bekali si rahti hai
kahin wo yaad to mujh ko kiya nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.