sulagte sochte ghulte rahe shabab ke din
sulagte sochte ghulte rahe shabāb ke din
guzar ga.e haiñ tire hijr meñ azaab ke din
ḳhud apne aap se laḌ kar kabhī zamāne se
basar hue haiñ ka.ī is tarah janāb ke din
ġhurūr itnā bhī joban pe mat karo dilbar
ye jaan lo haiñ bahut muḳhtasar gulāb ke din
mire rafīq mujhe rafta rafta chhoḌ ga.e
hamesha to nahīñ rahte haiñ āb-o-tāb ke din
agar gunāh ne piirī meñ lā ke chhoḌ diyā
ziyāñ-nasīb samajh lad ga.e savāb ke din
ḳhudā se 'kaif' ye baḳhshish kā hai savāl ke vo
binā hisāb mujhe baḳhsh de hisāb ke din
sulagte sochte ghulte rahe shabab ke din
guzar gae hain tere hijr mein azab ke din
KHud apne aap se laD kar kabhi zamane se
basar hue hain kai is tarah janab ke din
ghurur itna bhi joban pe mat karo dilbar
ye jaan lo hain bahut muKHtasar gulab ke din
mere rafiq mujhe rafta rafta chhoD gae
hamesha to nahin rahte hain aab-o-tab ke din
agar gunah ne piri mein la ke chhoD diya
ziyan-nasib samajh lad gae sawab ke din
KHuda se 'kaif' ye baKHshish ka hai sawal ke wo
bina hisab mujhe baKHsh de hisab ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.