sulagti aag thi na jalte aashiyane the
sulagtī aag thī na jalte āshiyāne the
bahut hasīn vo guzre hue zamāne the
hamārī āñkhoñ ko us kā ḳhayāl hī kab thā
ki in laboñ ko bhī kuchh roz muskurāne the
sharīk-e-bazm isī vāste huā na koī
shab-e-nashāt ka.ī ġham gale lagāne the
ye aur baat ki chehre pe ajnabiyyat thī
ta.alluqāt to un se bahut purāne the
ajiib shart thī us kī bhī ai 'asad'-rizvī
havā thī tez bahut aur diye jalāne the
sulagti aag thi na jalte aashiyane the
bahut hasin wo guzre hue zamane the
hamari aankhon ko us ka KHayal hi kab tha
ki in labon ko bhi kuchh roz muskurane the
sharik-e-bazm isi waste hua na koi
shab-e-nashat kai gham gale lagane the
ye aur baat ki chehre pe ajnabiyyat thi
talluqat to un se bahut purane the
ajib shart thi us ki bhi ai 'asad'-rizwi
hawa thi tez bahut aur diye jalane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.