sulagti nind ke girdab se nikal aaya
sulagtī niiñd ke girdāb se nikal aayā
maiñ aaj ya.anī kisī ḳhvāb se nikal aayā
vahāñ bhī koī nahīñ thā ḳharāb hāloñ kā
maiñ ho ke mimbar-o-mehrāb se nikal aayā
atā-e-shān-e-karīmī ajiib hotī hai
kinārā ḳhud hī tah-e-āb se nikal aayā
hazār sadiyoñ pe bhārī thā ek lamha-e-lams
vo raat jab had-e-ādāb se nikal aayā
vo dekh maut ke sāhil kī ret chamkī hai
maiñ zindagī tire sailāb se nikal aayā
jise misāl meñ sunte rahe haiñ ham 'anjum'
vo par bhī bāzū-e-surḳhāb se nikal aayā
sulagti nind ke girdab se nikal aaya
main aaj yani kisi KHwab se nikal aaya
wahan bhi koi nahin tha KHarab haalon ka
main ho ke mimbar-o-mehrab se nikal aaya
ata-e-shan-e-karimi ajib hoti hai
kinara KHud hi tah-e-ab se nikal aaya
hazar sadiyon pe bhaari tha ek lamha-e-lams
wo raat jab had-e-adab se nikal aaya
wo dekh maut ke sahil ki ret chamki hai
main zindagi tere sailab se nikal aaya
jise misal mein sunte rahe hain hum 'anjum'
wo par bhi bazu-e-surKHab se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.