sulagti ret ko dariya nahin kaha maine
sulagtī ret ko dariyā nahīñ kahā maiñ ne
ġhazal kahī hai qasīda nahīñ kahā maiñ ne
huzūr mohtaram izzat-ma.āb ālī-janāb
ye saarā jhuuT hai aisā nahīñ kahā maiñ ne
jo bevafā thā usī kī taraf ishāra kiyā
kināyatan ise duniyā nahīñ kahā maiñ ne
jo hū-ba-hū tirī tasvīr ban ke aa jaa.e
jo sach kahūñ to kuchh aisā nahīñ kahā maiñ ne
chaḌhā.e us pe nahīñ maiñ ne san.atoñ ke ġhilāf
ki sach ko sher meñ bāñdhā nahīñ kahā maiñ ne
jo kahnā chāhtā huuñ vo abhī kahā hī nahīñ
vagarna kahne ko kyā kyā nahīñ kahā maiñ ne
sulagti ret ko dariya nahin kaha main ne
ghazal kahi hai qasida nahin kaha main ne
huzur mohtaram izzat-maab aali-janab
ye sara jhuT hai aisa nahin kaha main ne
jo bewafa tha usi ki taraf ishaara kiya
kinayatan ise duniya nahin kaha main ne
jo hu-ba-hu teri taswir ban ke aa jae
jo sach kahun to kuchh aisa nahin kaha main ne
chaDhae us pe nahin main ne sanaton ke ghilaf
ki sach ko sher mein bandha nahin kaha main ne
jo kahna chahta hun wo abhi kaha hi nahin
wagarna kahne ko kya kya nahin kaha main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.