sulagti sham ki dahliz par jalta diya rakhna
sulagtī shaam kī dahlīz par jaltā diyā rakhnā
hamārī yaad kā ḳhvāboñ se apne silsila rakhnā
sadā ban kar ghaTā ban kar fazā ban kar sabā ban kar
na jaane kab maiñ aa jā.ūñ darīcha tum khulā rakhnā
inhīñ rāhoñ se lauTūñgī na aa.uuñ ye bhī mumkin hai
magar tum ret par mahfūz apne naqsh-e-pā rakhnā
na paḌh le koī tahrīreñ tumhāre zard chehre kī
dar-o-dīvār ghar ke shoḳh rañgoñ se sajā rakhnā
jo bahneñ muflisī se bhā.iyoñ par bojh bantī haiñ
vo mar jaa.eñ to un ke haath meñ shāḳh-e-hinā rakhnā
sulagti sham ki dahliz par jalta diya rakhna
hamari yaad ka KHwabon se apne silsila rakhna
sada ban kar ghaTa ban kar faza ban kar saba ban kar
na jaane kab main aa jaun daricha tum khula rakhna
inhin rahon se lauTungi na aaun ye bhi mumkin hai
magar tum ret par mahfuz apne naqsh-e-pa rakhna
na paDh le koi tahriren tumhaare zard chehre ki
dar-o-diwar ghar ke shoKH rangon se saja rakhna
jo bahnen muflisi se bhaiyon par bojh banti hain
wo mar jaen to un ke hath mein shaKH-e-hina rakhna
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.