suljhi hui paheli ka uljhao dekh kar
suljhī huī pahelī kā uljhāo dekh kar
hairān huuñ maiñ ab tirā bartāv dekh kar
qismat kī baat aur hai lekin haqīqatan
dariyā se ḳhauf aatā nahīñ naav dekh kar
ham husn ashk hijr hare zaḳhm laa.e haiñ
aao ḳharīd lo koī ġham bhaav dekh kar
ye dil hai merā dil koī un kī dukāñ nahīñ
bikhre paḌe haiñ jā-ba-jā ḳhvāb aao dekh kar
is zaḳhm kā nishān mahaktā hai aaj bhī
rakkhe the tum ne hoñT jahāñ ghaav dekh kar
ye log ḳhvāb lūTne vāloñ ke saath the
aañsū bahā rahe haiñ jo bikhrāo dekh kar
ab kin tavahhumāt se ghabrā ga.ī 'ufuq'
pahle tumheñ kahā thā sañbhal jaao dekh kar
suljhi hui paheli ka uljhao dekh kar
hairan hun main ab tera bartaw dekh kar
qismat ki baat aur hai lekin haqiqatan
dariya se KHauf aata nahin naw dekh kar
hum husn ashk hijr hare zaKHm lae hain
aao KHarid lo koi gham bhaw dekh kar
ye dil hai mera dil koi un ki dukan nahin
bikhre paDe hain ja-ba-ja KHwab aao dekh kar
is zaKHm ka nishan mahakta hai aaj bhi
rakkhe the tum ne honT jahan ghaw dekh kar
ye log KHwab luTne walon ke sath the
aansu baha rahe hain jo bikhrao dekh kar
ab kin tawahhumat se ghabra gai 'ufuq'
pahle tumhein kaha tha sanbhal jao dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.