sun kar kitni aankhen niklin
sun kar kitnī āñkheñ niklīñ
ik patthar meñ sāñseñ niklīñ
āñkhoñ se ik dariyā niklā
dariyā se kuchh lāsheñ niklīñ
ġham ke bhī kuchh phuul khile haiñ
zaḳhmoñ se bhī shāḳheñ niklīñ
aage aage nāḳhun aa.e
pīchhe pīchhe bāñheñ niklīñ
jis ko khoyā thā āñkhoñ ne
us ko lene yādeñ niklīñ
kāñToñ ne kyuuñ jashn manāyā
phūloñ se kyuuñ aaheñ niklīñ
un galiyoñ meñ rah kar dekhā
din se raushan rāteñ niklīñ
sun kar kitni aankhen niklin
ek patthar mein sansen niklin
aankhon se ek dariya nikla
dariya se kuchh lashen niklin
gham ke bhi kuchh phul khile hain
zaKHmon se bhi shaKHen niklin
aage aage naKHun aae
pichhe pichhe banhen niklin
jis ko khoya tha aankhon ne
us ko lene yaaden niklin
kanTon ne kyun jashn manaya
phulon se kyun aahen niklin
un galiyon mein rah kar dekha
din se raushan raaten niklin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.