sun kar main jurm chup tha gunahgar ki tarah
sun kar maiñ jurm chup thā gunahgār kī tarah
luknat zabāñ meñ aa ga.ī mai-ḳhvār kī tarah
vo kaisī sub.h thī ki tulū'-e-sahar ke baa'd
sūraj kā chehrā lagtā thā bīmār kī tarah
haañ us kī dāstān bahut dil-ḳharāsh thī
ḳhāmosh thā jo sāya-e-dīvār kī tarah
rukne kā naam bhī nahīñ lete the vo kabhī
ahl-e-junūñ the vaqt kī raftār kī tarah
maqtal se teġh dār-o-rasan se salīb se
mujh ko hai pyaar kūcha-e-dildār kī tarah
ham tīra-baḳht aap hī kahiye kahāñ se laa.eñ
shaukat jalāl shaan vo sarkār kī tarah
uupar se dekhne meñ haiñ mānind-e-koh ham
andar se ek ret kī dīvār kī tarah
ai rabb-e-zul-jalāl amaañ pā.ūñ to kahūñ
ye 'umr kaT ga.ī kisī nādār kī tarah
sun kar main jurm chup tha gunahgar ki tarah
luknat zaban mein aa gai mai-KHwar ki tarah
wo kaisi subh thi ki tulu'-e-sahar ke ba'd
suraj ka chehra lagta tha bimar ki tarah
han us ki dastan bahut dil-KHarash thi
KHamosh tha jo saya-e-diwar ki tarah
rukne ka nam bhi nahin lete the wo kabhi
ahl-e-junun the waqt ki raftar ki tarah
maqtal se tegh dar-o-rasan se salib se
mujh ko hai pyar kucha-e-dildar ki tarah
hum tira-baKHt aap hi kahiye kahan se laen
shaukat jalal shan wo sarkar ki tarah
upar se dekhne mein hain manind-e-koh hum
andar se ek ret ki diwar ki tarah
ai rabb-e-zul-jalal aman paun to kahun
ye 'umr kaT gai kisi nadar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.