sun li ramayan ki jab puri katha
sun lī rāmāyan kī jab puurī kathā
dil mirā rāvan pe ho baiThā fidā
hijr kī bātoñ meñ thā aisā asar
vasl meñ bhī dil mirā betāb thā
chāñd ne apnī nigāheñ pher liiñ
par tirī āñkhoñ meñ jaltā thā diyā
ik anokhī kaifiyat ne chhū liyā
haath meñ jaise ḳhudā kā haath thā
ik sahīfe meñ likhī thī dāstāñ
lafz lafzoñ se judā kaise huā
dil se dil mil jaa.eñ kuchh aisā kareñ
saat pheroñ se bhalā hogā kyā
sun li ramayan ki jab puri katha
dil mera rawan pe ho baiTha fida
hijr ki baaton mein tha aisa asar
wasl mein bhi dil mera betab tha
chand ne apni nigahen pher lin
par teri aankhon mein jalta tha diya
ek anokhi kaifiyat ne chhu liya
hath mein jaise KHuda ka hath tha
ek sahife mein likhi thi dastan
lafz lafzon se juda kaise hua
dil se dil mil jaen kuchh aisa karen
sat pheron se bhala hoga kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.