sun rahe hain koi tara sair karta aaega
sun rahe haiñ koī taara sair kartā aa.egā
jaane kyā paiġhām dhartī ke liye vo lā.egā
phuul ik din ḳhvāhishoñ kā dhuup meñ kumhlā.egā
pattiyāñ bikhreñgī us kī biij hī rah jā.egā
baañT kar aa.egā sab kuchh shahr ke bāzār meñ
har mahīne ḳhālī jebeñ ghar ko vo dikhlā.egā
tū havāoñ sā guzar dāman bachā kar raah se
phuul kā to kaam hai hañs hañs ke vo bahkā.egā
TukḌe TukḌe hoñge sūraj aur sitāre har taraf
kar ke tānDau show sabhī brhamāñD ko bikhrā.egā
us ke ġhusse se bagūle uTh raheñ haiñ dhuup meñ
garm dil sahrā jo bolā aag hī barsā.egā
ek hī chubhtā sā kāñTā un kī partoñ meñ nahīñ
phuul sī bāteñ haiñ us kī sab ko hī mahkā.egā
sun rahe hain koi tara sair karta aaega
jaane kya paigham dharti ke liye wo laega
phul ek din KHwahishon ka dhup mein kumhlaega
pattiyan bikhrengi us ki bij hi rah jaega
banT kar aaega sab kuchh shahr ke bazar mein
har mahine KHali jeben ghar ko wo dikhlaega
tu hawaon sa guzar daman bacha kar rah se
phul ka to kaam hai hans hans ke wo bahkaega
TukDe TukDe honge suraj aur sitare har taraf
kar ke tanDau show sabhi brhamanD ko bikhraega
us ke ghusse se bagule uTh rahen hain dhup mein
garm dil sahra jo bola aag hi barsaega
ek hi chubhta sa kanTa un ki parton mein nahin
phul si baaten hain us ki sab ko hi mahkaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.