sun sun ke chup hain tana-e-aghyar kya karen
sun sun ke chup hain tana-e-aghyar kya karen
Iftikhar Ahmad Fakhr
MORE BYIftikhar Ahmad Fakhr
sun sun ke chup haiñ ta.ana-e-aġhyār kyā kareñ
majbūr haiñ vafā ke parastār kyā kareñ
ro.eñ lahū na dīda-e-ḳhūñ-bār kyā kareñ
majrūh jab ho ishq kā pindār kyā kareñ
iz.hār-e-haq ke vāste mansūr ab kahāñ
bātil-parast hausla-e-dār kyā kareñ
ho jaa.e shash-jihat na kahīñ ye dhuāñ dhuāñ
josh-e-junūñ meñ āh-e-sharar-bār kyā kareñ
saaqī ye tishnagī sar-e-mai-ḳhāna tā-ba-kai
jām-o-subū na toḌeñ to mai-ḳhvār kyā kareñ
jab āstīn-e-shaiḳh-e-haram ġharq-e-bāda ho
log ehtirām-e-jubba-o-dastār kyā kareñ
ham 'faḳhr' sarkashoñ ke na aage kabhī jhuke
rakhte haiñ ik tabī.at-e-ḳhuddār kyā kareñ
sun sun ke chup hain tana-e-aghyar kya karen
majbur hain wafa ke parastar kya karen
roen lahu na dida-e-KHun-bar kya karen
majruh jab ho ishq ka pindar kya karen
izhaar-e-haq ke waste mansur ab kahan
baatil-parast hausla-e-dar kya karen
ho jae shash-jihat na kahin ye dhuan dhuan
josh-e-junun mein aah-e-sharar-bar kya karen
saqi ye tishnagi sar-e-mai-KHana ta-ba-kai
jam-o-subu na toDen to mai-KHwar kya karen
jab aastin-e-shaiKH-e-haram gharq-e-baada ho
log ehtiram-e-jubba-o-dastar kya karen
hum 'faKHr' sarkashon ke na aage kabhi jhuke
rakhte hain ek tabiat-e-KHuddar kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.