suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to
suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to
Saail Dehlvi
MORE BYSaail Dehlvi
sunā bhī kabhī mājrā dard-o-ġham kā kisī dil-jale kī zabānī kaho to
nikal aa.eñ aañsū kaleja pakaḌ lo karūñ arz apnī kahānī kaho to
tumheñ rañg-e-mai shaiḳh marġhūb kyā hai gulābī ho yā za.afrānī kaho to
pilā.e koī sāqi-e-hūr-paikar musaffā kashīda purānī kaho to
tamannā-e-dīdār hai hasrat-e-dil ki tum jalva-farmā ho maiñ āñkheñ sekūñ
na kah denā muusā se jaise kahā thā mirī arz par lan-tarānī kaho to
vafā-pesha āshiq nahīñ dekhā tum ne mujhe dekh lo jāñch lo aazmā lo
tumhāre ishāre pe qurbān kar duuñ abhī māya-e-zindagānī kaho to
kahāñ maiñ kahāñ dāstāñ kā taqāzā mire zabt-e-dard-e-nihāñ kā hai kahnā
phir us par ye tākīd bhī hai barābar na kahnā purānī kahānī kaho to
mire nāma-e-shauq kī satr meñ hai jagah ik jo saada vo mohmal nahīñ hai
maiñ ho jā.ūñ ḳhidmat meñ hāzir abhī ḳhud batāne ko is ke ma.ānī kaho to
suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to
nikal aaen aansu kaleja pakaD lo karun arz apni kahani kaho to
tumhein rang-e-mai shaiKH marghub kya hai gulabi ho ya zafrani kaho to
pilae koi saqi-e-hur-paikar musaffa kashida purani kaho to
tamanna-e-didar hai hasrat-e-dil ki tum jalwa-farma ho main aankhen sekun
na kah dena musa se jaise kaha tha meri arz par lan-tarani kaho to
wafa-pesha aashiq nahin dekha tum ne mujhe dekh lo jaanch lo aazma lo
tumhaare ishaare pe qurban kar dun abhi maya-e-zindagani kaho to
kahan main kahan dastan ka taqaza mere zabt-e-dard-e-nihan ka hai kahna
phir us par ye takid bhi hai barabar na kahna purani kahani kaho to
mere nama-e-shauq ki satr mein hai jagah ek jo sada wo mohmal nahin hai
main ho jaun KHidmat mein hazir abhi KHud batane ko is ke maani kaho to
- Book : Noquush (Pg. B-311 E-327)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.