suna hai aaj saba mushk-bar aai hai
sunā hai aaj sabā mushk-bār aa.ī hai
bahut dinoñ meñ shab-e-intizār aa.ī hai
kalī kalī ke tabassum se ḳhanda-e-gul tak
fazā chaman kī kise sāzgār aa.ī hai
ye kyā ki ḳhanda-e-gul kā tilism TuuT gayā
hañsī laboñ pe jo be-iḳhtiyār aa.ī hai
chaTak rahī haiñ ye kis ke ḳhayāl kī kaliyāñ
ki dhaḌkanoñ kī sadā baar baar aa.ī hai
nigāh-e-shauq agar jalva-gāh tak 'nashtar'
pa.e-qarār ga.ī be-qarār aa.ī hai
suna hai aaj saba mushk-bar aai hai
bahut dinon mein shab-e-intizar aai hai
kali kali ke tabassum se KHanda-e-gul tak
faza chaman ki kise sazgar aai hai
ye kya ki KHanda-e-gul ka tilism TuT gaya
hansi labon pe jo be-iKHtiyar aai hai
chaTak rahi hain ye kis ke KHayal ki kaliyan
ki dhaDkanon ki sada bar bar aai hai
nigah-e-shauq agar jalwa-gah tak 'nashtar'
pae-qarar gai be-qarar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.