suna hai ek jahan is jahan se pahle tha
sunā hai ek jahāñ is jahāñ se pahle thā
ajab jahāñ thā agar āsmāñ se pahle thā
agarche sajde haiñ mamnūn āstāñ lekin
mazāq-e-sajda mujhe āstāñ se pahle thā
tumhīñ kaho kabhī tum ne sunā thā ḳhush ho kar
tumhārā zikr jo mere bayāñ se pahle thā
qubūl-e-ḳhātir-e-ushshāq ho ke rah na gayā
tirā fasāna mirī dāstāñ se pahle thā
na shauq-e-rahzanī-e-dil na zauq-e-ġhārat-e-jāñ
ajab tarīq mire kārvāñ se pahle thā
bahār thī na ḳhizāñ barq thī na thā sayyād
chaman na thā jo mire āshiyāñ se pahle thā
isī jahān ko inkār thā qayāmat kā
yahī jahān jo ik naujavāñ se pahle thā
kuchh is tarah hai mujhe dard-e-ishq kā ehsās
ye jaise mujh ko yūñhī jism-o-jāñ se pahle thā
vo naaz ban ke phir āḳhir niyāz ho ke rahā
unheñ ġhurūr jo merī fuġhāñ se pahle thā
zahe vo bazm ki hotā hai roz ye mahsūs
ki jaise koī ta.alluq yahāñ se pahle thā
hunūz dil meñ usī shadd-o-mad se hai 'bismil'
vo hausla jo mujhe imtihāñ se pahle thā
suna hai ek jahan is jahan se pahle tha
ajab jahan tha agar aasman se pahle tha
agarche sajde hain mamnun aastan lekin
mazaq-e-sajda mujhe aastan se pahle tha
tumhin kaho kabhi tum ne suna tha KHush ho kar
tumhaara zikr jo mere bayan se pahle tha
qubul-e-KHatir-e-ushshaq ho ke rah na gaya
tera fasana meri dastan se pahle tha
na shauq-e-rahzani-e-dil na zauq-e-ghaarat-e-jaan
ajab tariq mere karwan se pahle tha
bahaar thi na KHizan barq thi na tha sayyaad
chaman na tha jo mere aashiyan se pahle tha
isi jahan ko inkar tha qayamat ka
yahi jahan jo ek naujawan se pahle tha
kuchh is tarah hai mujhe dard-e-ishq ka ehsas
ye jaise mujh ko yunhi jism-o-jaan se pahle tha
wo naz ban ke phir aaKHir niyaz ho ke raha
unhen ghurur jo meri fughan se pahle tha
zahe wo bazm ki hota hai roz ye mahsus
ki jaise koi talluq yahan se pahle tha
hunuz dil mein usi shadd-o-mad se hai 'bismil'
wo hausla jo mujhe imtihan se pahle tha
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 31)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.