suna hai waqt hamara badalne wala hai
sunā hai vaqt hamārā badalne vaalā hai
koī umiid kā sūraj nikalne vaalā hai
paḌhā rahā hai sabaq ḳhud-kafīl banñe kā
vo koī chaal na.ī phir se chalne vaalā hai
bhaḌak rahī hai tashaddud kī aag gulshan meñ
chaman ye apnā mohabbat kā jalne vaalā hai
añdherā chāroñ taraf ab to phail jā.egā
vo dekho pastī meñ sūraj phisalne vaalā hai
javān jis ke irāde hai hausla bhī buland
usī ke vāste rasta nikalne vaalā hai
jo ban ke azhdahā baiThā huā hai masnad par
ḳhushī avaam kī saarī nigalne vaalā hai
zarūr pahuñchegā manzil pe vo musāfir to
'qamar' jo raah meñ gir kar sambhalne vaalā hai
suna hai waqt hamara badalne wala hai
koi umid ka suraj nikalne wala hai
paDha raha hai sabaq KHud-kafil banne ka
wo koi chaal nai phir se chalne wala hai
bhaDak rahi hai tashaddud ki aag gulshan mein
chaman ye apna mohabbat ka jalne wala hai
andhera chaaron taraf ab to phail jaega
wo dekho pasti mein suraj phisalne wala hai
jawan jis ke irade hai hausla bhi buland
usi ke waste rasta nikalne wala hai
jo ban ke azhdaha baiTha hua hai masnad par
KHushi awam ki sari nigalne wala hai
zarur pahunchega manzil pe wo musafir to
'qamar' jo rah mein gir kar sambhalne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.