suna hai wo sata kar dekhte hain
sunā hai vo satā kar dekhte haiñ
unheñ phir aazmā kar dekhte haiñ
sunā hai jism un kā sandalī hai
chalo phir un ko pā kar dekhte haiñ
sunā hai sach se un kī dushmanī hai
to jhūTī qasmeñ khā kar dekhte hai
sunā hai vo sarāpā raushnī haiñ
unheñ ghar par bulā kar dekhte haiñ
sunā hai māñgne se miltā hai sab
to ham bhī sar jhukā kar dekhte haiñ
suna hai wo sata kar dekhte hain
unhen phir aazma kar dekhte hain
suna hai jism un ka sandali hai
chalo phir un ko pa kar dekhte hain
suna hai sach se un ki dushmani hai
to jhuTi qasmen kha kar dekhte hai
suna hai wo sarapa raushni hain
unhen ghar par bula kar dekhte hain
suna hai mangne se milta hai sab
to hum bhi sar jhuka kar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.