suna hai ye jahan achchha tha pahle
sunā hai ye jahāñ achchhā thā pahle
ye jo ab dasht hai dariyā thā pahle
jo hotā kaun aatā is jahāñ meñ
kise duniyā kā andāza thā pahle
baḌī tasvīr laTkā dī hai apnī
jahāñ chhoTā sā ā.īna thā pahle
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ab us kī
vo jo auroñ ko samjhātā thā pahle
kiyā ījād jis ne bhī ḳhudā ko
vo ḳhud ko kaise bahlātā thā pahle
bahut kuchh bhī nahīñ kaafī yahāñ ab
bahut thoḌe se chal jaatā thā pahle
ye dīvāreñ to haiñ is daur kā sach
khulā har dil kā darvāza thā pahle
suna hai ye jahan achchha tha pahle
ye jo ab dasht hai dariya tha pahle
jo hota kaun aata is jahan mein
kise duniya ka andaza tha pahle
baDi taswir laTka di hai apni
jahan chhoTa sa aaina tha pahle
samajh mein kuchh nahin aata ab us ki
wo jo auron ko samjhata tha pahle
kiya ijad jis ne bhi KHuda ko
wo KHud ko kaise bahlata tha pahle
bahut kuchh bhi nahin kafi yahan ab
bahut thoDe se chal jata tha pahle
ye diwaren to hain is daur ka sach
khula har dil ka darwaza tha pahle
- Book : Vajood (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.