suna jab tere diwane ne gulshan mein bahaar aai
suna jab tere diwane ne gulshan mein bahaar aai
Raj Kumari Suraj Kala Sarwar
MORE BYRaj Kumari Suraj Kala Sarwar
sunā jab tere dīvāne ne gulshan meñ bahār aa.ī
qabā sahrā se ḳhud dāman meñ le kar nok-e-ḳhār aa.ī
nazar har rang meñ jin ko shabīh-e-husn-e-yār aa.ī
unheñ kyā ġham ḳhizāñ aa.ī chaman meñ yā bahār aa.ī
kabhī sāñsoñ ke tāroñ meñ kabhī āñkhoñ ke pardoñ meñ
sadā-e-shauq kis kis saaz meñ tujh ko pukār aa.ī
paḌī barq-e-nazar sayyād kī jab āshiyāne par
maiñ ye samjhā ki shāyad mere gulshan par bahār aa.ī
tasavvur meñ ho tum aur ārzū-e-dīd baaqī hai
nigāhoñ meñ ḳhizāñ chhā.ī hai jab dil meñ bahār aa.ī
patā detī hai ḳhud sayyād ye dil kī ḳhalish varna
mujhe ye bhī nahīñ hai yaad kab fasl-e-bahār aa.ī
na pūchho intihā-e-shauq kī ra.anā.iyāñ 'sarvar'
mire har ashk ke hamrāh ik tasvīr-e-yār aa.ī
suna jab tere diwane ne gulshan mein bahaar aai
qaba sahra se KHud daman mein le kar nok-e-KHar aai
nazar har rang mein jin ko shabih-e-husn-e-yar aai
unhen kya gham KHizan aai chaman mein ya bahaar aai
kabhi sanson ke taron mein kabhi aankhon ke pardon mein
sada-e-shauq kis kis saz mein tujh ko pukar aai
paDi barq-e-nazar sayyaad ki jab aashiyane par
main ye samjha ki shayad mere gulshan par bahaar aai
tasawwur mein ho tum aur aarzu-e-did baqi hai
nigahon mein KHizan chhai hai jab dil mein bahaar aai
pata deti hai KHud sayyaad ye dil ki KHalish warna
mujhe ye bhi nahin hai yaad kab fasl-e-bahaar aai
na puchho intiha-e-shauq ki ranaiyan 'sarwar'
mere har ashk ke hamrah ek taswir-e-yar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.