suna ke gham ka tarana suno gaya hai wo
sunā ke ġham kā tarāna suno gayā hai vo
suroñ ke ashk se duniyā ko dho gayā hai vo
hai us ke husn ke dariyā meñ aisī tuġhyānī
hamāre hosh kī bastī Dubo gayā hai vo
har ik qadam pe hai Thokar meñ zindagī us kī
añdhere jism ke sahrā meñ kho gayā hai vo
thakā thakā sā badan hai mire taḳhayyul kā
shikasta ḳhvāb ke bistar pe so gayā hai vo
dayār-e-anjum-o-ḳhurshīd se vo aaya thā
bagūla ban ke ḳhalāoñ meñ kho gayā hai vo
tum ishti.āl ke sho.aloñ ko aur bhaḌkāo
lahū ko sabr ke paanī se dho gayā hai vo
nazāra dekhne aaya thā jo bahāroñ kā
badan ko apne lahū se bhigo gayā hai vo
suna ke gham ka tarana suno gaya hai wo
suron ke ashk se duniya ko dho gaya hai wo
hai us ke husn ke dariya mein aisi tughyani
hamare hosh ki basti Dubo gaya hai wo
har ek qadam pe hai Thokar mein zindagi us ki
andhere jism ke sahra mein kho gaya hai wo
thaka thaka sa badan hai mere taKHayyul ka
shikasta KHwab ke bistar pe so gaya hai wo
dayar-e-anjum-o-KHurshid se wo aaya tha
bagula ban ke KHalaon mein kho gaya hai wo
tum ishtial ke shoalon ko aur bhaDkao
lahu ko sabr ke pani se dho gaya hai wo
nazara dekhne aaya tha jo bahaaron ka
badan ko apne lahu se bhigo gaya hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.