suna ki KHub hai uske dayar ka mausam
sunā ki ḳhuub hai us ke dayār kā mausam
diloñ pe chhāne lagā phir ḳhumār kā mausam
kabhī kabhī to badan ko pata nahīñ chaltā
ki bāġh-e-rūh meñ kab aayā pyaar kā mausam
maiñ us gulāb ko nārāz kar nahīñ saktā
bhale hī ruuTh ke jaa.e bahār kā mausam
ye ḳhauf dil meñ ubhartā hai dard kī sūrat
badal na jaa.e kahīñ e'tibār kā mausam
maiñ ḳhud bhī milne ko bechain huuñ ye jab se sunā
mirī talāsh meñ hai intizār kā mausam
tamām āb-o-havā meñ gulāl bikhrā hai
ki rañg laayā hai us ke nikhār kā mausam
khile hue haiñ umīdoñ ke phuul dil meñ magar
guzar na jaa.e kahīñ intizār kā mausam
baḌe maze se abhī tak guzar rahe haiñ din
isī tarah rahe qaa.em ḳhumār kā mausam
yahāñ kabhī bhī ḳhizāñ kā guzar nahīñ hogā
yahāñ hamesha rahegā bahār kā mausam
sukūn-e-qalb mayassar ho ḳhvāb puure hoñ
kabhī to aa.e dil-e-be-qarār kā mausam
kisī tarah bhī na inkār kī hai gunjā.ish
ki hai uruuj pe qaul-o-qarār kā mausam
vo achchhe-achchhoñ ko ḳhātir maiñ ab na laatā hai
ki in dinoñ to hai us ke nikhār kā mausam
suna ki KHub hai us ke dayar ka mausam
dilon pe chhane laga phir KHumar ka mausam
kabhi kabhi to badan ko pata nahin chalta
ki bagh-e-ruh mein kab aaya pyar ka mausam
main us gulab ko naraaz kar nahin sakta
bhale hi ruTh ke jae bahaar ka mausam
ye KHauf dil mein ubharta hai dard ki surat
badal na jae kahin e'tibar ka mausam
main KHud bhi milne ko bechain hun ye jab se suna
meri talash mein hai intizar ka mausam
tamam aab-o-hawa mein gulal bikhra hai
ki rang laya hai us ke nikhaar ka mausam
khile hue hain umidon ke phul dil mein magar
guzar na jae kahin intizar ka mausam
baDe maze se abhi tak guzar rahe hain din
isi tarah rahe qaem KHumar ka mausam
yahan kabhi bhi KHizan ka guzar nahin hoga
yahan hamesha rahega bahaar ka mausam
sukun-e-qalb mayassar ho KHwab pure hon
kabhi to aae dil-e-be-qarar ka mausam
kisi tarah bhi na inkar ki hai gunjaish
ki hai uruj pe qaul-o-qarar ka mausam
wo achchhe-achchhon ko KHatir main ab na lata hai
ki in dinon to hai us ke nikhaar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.