suna rahe hain wo yun etibar ke qisse
sunā rahe haiñ vo yuuñ e'tibār ke qisse
ḳhizāñ ke daur meñ jaise bahār ke qisse
kaheñge ham bhī kabhī intizār ke qisse
tumhārā pyaar shajar aur pyaar ke qisse
udaas lahje meñ kuchh sher haiñ jo rūmānī
unheñ samajhnā ki sab haiñ udhār ke qisse
diloñ kī tah meñ sadā ashk ubalte rahte haiñ
har ek sahrā meñ haiñ ābshār ke qisse
ye soch kar hī inheñ nazm kar liyā maiñ ne
qarār deñge dil-e-be-qarār ke qisse
suna rahe hain wo yun e'tibar ke qisse
KHizan ke daur mein jaise bahaar ke qisse
kahenge hum bhi kabhi intizar ke qisse
tumhaara pyar shajar aur pyar ke qisse
udas lahje mein kuchh sher hain jo rumani
unhen samajhna ki sab hain udhaar ke qisse
dilon ki tah mein sada ashk ubalte rahte hain
har ek sahra mein hain aabshaar ke qisse
ye soch kar hi inhen nazm kar liya main ne
qarar denge dil-e-be-qarar ke qisse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.