sunae sach koi to sans bhi aahista leta hun
sunae sach koi to sans bhi aahista leta hun
Muhammad Fiaz Hasrat
MORE BYMuhammad Fiaz Hasrat
sunā.e sach koī to saañs bhī āhista letā huuñ
kahīñ mujh par zarā bhī shak huā to maarā jā.ūñgā
kisī se koī ab kyoñ mere marne kā sabab pūchhe
ye jab tai thā ki maiñ ne sach kahā to maarā jā.ūñgā
uThā ke maiñ qadam bachtā bhī kaise jāntā thā maiñ
mire haq meñ mirā lab bhī hilā to maarā jā.ūñgā
sab aa ke laash par merī ab aañsū kyoñ bahāte ho
kahā to thā ki maiñ haq par rahā to maarā jā.ūñgā
yahāñ āzād to haiñ sab na jaane kyoñ mujhe Dar hai
ki āzādī samajh kar maiñ jiyā to maarā jā.ūñgā
piye jaate haiñ vaañ hasrat lahū insāñ hī insāñ kā
maiñ bhūle se bhī us jānib gayā to maarā jā.ūñgā
sunae sach koi to sans bhi aahista leta hun
kahin mujh par zara bhi shak hua to mara jaunga
kisi se koi ab kyon mere marne ka sabab puchhe
ye jab tai tha ki main ne sach kaha to mara jaunga
uTha ke main qadam bachta bhi kaise jaanta tha main
mere haq mein mera lab bhi hila to mara jaunga
sab aa ke lash par meri ab aansu kyon bahate ho
kaha to tha ki main haq par raha to mara jaunga
yahan aazad to hain sab na jaane kyon mujhe Dar hai
ki aazadi samajh kar main jiya to mara jaunga
piye jate hain wan hasrat lahu insan hi insan ka
main bhule se bhi us jaanib gaya to mara jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.