sunae usne jab ashaar mere
sunā.e us ne jab ash.ār mere
ka.ī misre hue gul-bār mere
safar dariyā kī rau par munhasir hai
nahīñ haiñ haath meñ patvār mere
kahānī meñ numāyāñ ho ga.e haiñ
vahī haiñ sānvī kirdār mere
vo in rāhoñ se hijrat kar ga.e haiñ
shajar jitne the sāya-dār mere
havā manzūm ho kar aa rahī hai
abhī kuchh log haiñ us paar mere
vahāñ par yuuñ ke maskan ban ga.e haiñ
munaqqash the dar-o-dīvār mere
lab-e-dariyā hai tasvīroñ kā mela
khaḌe haiñ ā.ina-bardār mere
sunae us ne jab ashaar mere
kai misre hue gul-bar mere
safar dariya ki rau par munhasir hai
nahin hain hath mein patwar mere
kahani mein numayan ho gae hain
wahi hain sanwi kirdar mere
wo in rahon se hijrat kar gae hain
shajar jitne the saya-dar mere
hawa manzum ho kar aa rahi hai
abhi kuchh log hain us par mere
wahan par yun ke maskan ban gae hain
munaqqash the dar-o-diwar mere
lab-e-dariya hai taswiron ka mela
khaDe hain aaina-bardar mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.