sunaen hum koi qissa hamari dastan ka
sunā.eñ ham koī qissa hamārī dāstāñ kā
mujhe qissa nahīñ banñā tumhārī dāstāñ kā
mahz do naam hoñ us se ziyāda kuchh nahīñ ho
mohabbat naam rakkheñ ham hamārī dāstāñ kā
zamāne ko lagā ki ḳhatm qissa ho gayā hai
magar ik marhala thā vo bhī apnī dāstāñ kā
qabīle se jharokā dekhnā mumkin nahīñ thā
nayā mauzūa milā hai ik purānī dāstāñ kā
sarāsar vo hī likhnā jo jiyā hai saath ham ne
badalne se badal jaa.e na ma.anī dāstāñ kā
sunaen hum koi qissa hamari dastan ka
mujhe qissa nahin banna tumhaari dastan ka
mahz do nam hon us se ziyaada kuchh nahin ho
mohabbat nam rakkhen hum hamari dastan ka
zamane ko laga ki KHatm qissa ho gaya hai
magar ek marhala tha wo bhi apni dastan ka
qabile se jharoka dekhna mumkin nahin tha
naya mauzua mila hai ek purani dastan ka
sarasar wo hi likhna jo jiya hai sath hum ne
badalne se badal jae na mani dastan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.