sunata hai koi bholi kahani
sunātā hai koī bholī kahānī
mahakte mīThe dariyāoñ kā paanī
yahāñ jangal the ābādī se pahle
sunā hai maiñ ne logoñ kī zabānī
yahāñ ik shahr thā shahr-e-nigārāñ
na chhoḌī vaqt ne is kī nishānī
maiñ vo dil huuñ dabistān-e-alam kā
jise ro.egī barsoñ shādmānī
tahayyur ne use dekhā hai aksar
ḳhirad kahtī hai jis ko lā-makānī
ḳhayāloñ hī meñ aksar baiThe baiThe
basā letā huuñ ik duniyā suhānī
hujūm-e-nashsha-e-fikr-e-suḳhan meñ
badal jaate haiñ lafzoñ ke ma.ānī
batā ai zulmat-e-sahrā-e-imkāñ
kahāñ hogā mire ḳhvāboñ kā saanī
añdherī shaam ke pardoñ meñ chhup kar
kise rotī hai chashmoñ kī ravānī
kiran pariyāñ utartī haiñ kahāñ se
kahāñ jaate haiñ riste kahkashānī
pahāḌoñ se chalī phir koī āñdhī
uḌe jaate haiñ aurāq-e-ḳhizānī
na.ī duniyā ke hañgāmoñ meñ 'nāsir'
dabī jaatī haiñ āvāzeñ purānī
sunata hai koi bholi kahani
mahakte miThe dariyaon ka pani
yahan jangal the aabaadi se pahle
suna hai main ne logon ki zabani
yahan ek shahr tha shahr-e-nigaran
na chhoDi waqt ne is ki nishani
main wo dil hun dabistan-e-alam ka
jise roegi barson shadmani
tahayyur ne use dekha hai aksar
KHirad kahti hai jis ko la-makani
KHayalon hi mein aksar baiThe baiThe
basa leta hun ek duniya suhani
hujum-e-nashsha-e-fikr-e-suKHan mein
badal jate hain lafzon ke maani
bata ai zulmat-e-sahra-e-imkan
kahan hoga mere KHwabon ka sani
andheri sham ke pardon mein chhup kar
kise roti hai chashmon ki rawani
kiran pariyan utarti hain kahan se
kahan jate hain riste kahkashani
pahaDon se chali phir koi aandhi
uDe jate hain auraq-e-KHizani
nai duniya ke hangamon mein 'nasir'
dabi jati hain aawazen purani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.