sunaun dastan tumko alam ki
sunaun dastan tumko alam ki
Surayya Sultana Naseem Niyazi
MORE BYSurayya Sultana Naseem Niyazi
sunā.ūñ dāstāñ tum ko alam kī
nahīñ hai intihā kuchh mere ġham kī
maiñ ḳhud hī huuñ sazā-vār-e-zamāna
kisī ne merī ḳhātir aañkh nam kī
merā mahbūb jab mujh ko milā hai
nahīñ hājat kisī rahm-o-karam kī
hue haiñ rāste hamvār ḳhud hī
koī parvā nahīñ hai pech-o-ḳham kī
merī taqdīr vābasta tumhīñ se
yahī tahrīr hai lauh-o-qalam kī
havādis haiñ hamesha saath mere
nahīñ hai baat kuchh jaur-o-sitam kī
'nasīm' ab ek hī merī ḳhushī hai
tamannā-e-dilī bāb-e-haram kī
sunaun dastan tum ko alam ki
nahin hai intiha kuchh mere gham ki
main KHud hi hun saza-war-e-zamana
kisi ne meri KHatir aankh nam ki
mera mahbub jab mujh ko mila hai
nahin hajat kisi rahm-o-karam ki
hue hain raste hamwar KHud hi
koi parwa nahin hai pech-o-KHam ki
meri taqdir wabasta tumhin se
yahi tahrir hai lauh-o-qalam ki
hawadis hain hamesha sath mere
nahin hai baat kuchh jaur-o-sitam ki
'nasim' ab ek hi meri KHushi hai
tamanna-e-dili bab-e-haram ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.