sunaun tumhein zindagi ki kahani
sunā.ūñ tumheñ zindagī kī kahānī
ġham-e-jāvedānī ġham-e-jāvedānī
na samjhā vo asrār-e-hastī na samjhā
yahāñ jis ne ġham kī haqīqat na jaanī
mohabbat meñ ik dars-e-ibrat banegī
mirī nā-murādī mirī saḳht-jānī
mohabbat kī duniyā luTī jā rahī hai
javānī aur us par kisī kī javānī
tasavvur meñ haiñ ahd-e-māzī kī bāteñ
na vo sarḳhushī hai na vo sargirānī
na jaane kahāñ tak ye duniyā sunegī
kisī kā fasāna kisī kī zabānī
mujhe 'hosh' ye dars ġham ne diyā hai
ki hastī kā dhokā hai ik shādmānī
sunaun tumhein zindagi ki kahani
gham-e-jawedani gham-e-jawedani
na samjha wo asrar-e-hasti na samjha
yahan jis ne gham ki haqiqat na jaani
mohabbat mein ek dars-e-ibrat banegi
meri na-muradi meri saKHt-jaani
mohabbat ki duniya luTi ja rahi hai
jawani aur us par kisi ki jawani
tasawwur mein hain ahd-e-mazi ki baaten
na wo sarKHushi hai na wo sargirani
na jaane kahan tak ye duniya sunegi
kisi ka fasana kisi ki zabani
mujhe 'hosh' ye dars gham ne diya hai
ki hasti ka dhoka hai ek shadmani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.