sune raaton kun gar jangal mein mere gham ki wawaila
sune raaton kun gar jangal mein mere gham ki wawaila
Siraj Aurangabadi
MORE BYSiraj Aurangabadi
sune rātoñ kuuñ gar jañgal meñ mere ġham kī vāvailā
to majnūñ qabr señ uTh kar pukāre aah yā lailā
hamārā ḳhūn-e-nāhaq niiñ huā zaa.e.a are qātil
zamīñ se gul ho niklā āsmāñ par ho shafaq phailā
hiran sab haiñ barātī aur divāna ban kā dūlhā hai
ba-har ḳhil.at kuuñ uryānī kī phirtā hai banā chhailā
sharāb-e-sāf de tā saaf ho saaqī ġhubār-e-ġham
hamārā dil nipaT gard-e-kudūrat se hai ab mailā
'sirāj' us shola-rū kī tañg poshī kuuñ kahāñ pahuñche
ki hai jaama badan meñ sham.a ke fānūs kā Dhailā
sune raaton kun gar jangal mein mere gham ki wawaila
to majnun qabr sen uTh kar pukare aah ya laila
hamara KHun-e-nahaq nin hua zaea are qatil
zamin se gul ho nikla aasman par ho shafaq phaila
hiran sab hain baraati aur diwana ban ka dulha hai
ba-har KHilat kun uryani ki phirta hai bana chhaila
sharab-e-saf de ta saf ho saqi ghubar-e-gham
hamara dil nipaT gard-e-kudurat se hai ab maila
'siraj' us shola-ru ki tang poshi kun kahan pahunche
ki hai jama badan mein shama ke fanus ka Dhaila
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 319)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.