sunen bahaar ki rangin-bayaniyan kya kya
suneñ bahār kī rañgīñ-bayāniyāñ kyā kyā
kahīñ tabassum-e-gul ne kahāniyāñ kyā kyā
dayā javāb na kuchh muskurā ke rah ga.e phuul
zabān-e-ḳhār ne kiiñ bad-zabāniyāñ kyā kyā
baḌhā na nāqa-e-lailā baġhair nāla-e-qais
hunar dikhātī rahīñ sārbāniyāñ kyā kyā
mizāj-e-sañg na pighlā ki thā na soz-e-kalīm
asā paTaktī rahīñ qahar-māniyāñ kyā kyā
zabān-e-aql pe kuchh hai zabān-e-ishq pe kuchh
tire sukūt se niklīñ kahāniyāñ kyā kyā
na detā husn agar dil ko ishq kā sho.ala
ḳhud apnī aag meñ jaltīñ javāniyāñ kyā kyā
mizāj-e-ishq ne pakḌā na e'tibār kā rañg
sharīk-e-vahm rahīñ ḳhush-gumāniyāñ kyā kyā
jaras bhī chup rahā TuuTī na kārvāñ kī bhī niiñd
sukūt-e-dasht ne kiiñ nauha-ḳhvāniyāñ kyā kyā
pukārtī hai 'razā' gard-e-kārvāñ lekin
banī haiñ bār-e-safar sargirāniyāñ kyā kyā
sunen bahaar ki rangin-bayaniyan kya kya
kahin tabassum-e-gul ne kahaniyan kya kya
daya jawab na kuchh muskura ke rah gae phul
zaban-e-KHar ne kin bad-zabaniyan kya kya
baDha na naqa-e-laila baghair nala-e-qais
hunar dikhati rahin sarbaniyan kya kya
mizaj-e-sang na pighla ki tha na soz-e-kalim
asa paTakti rahin qahar-maniyan kya kya
zaban-e-aql pe kuchh hai zaban-e-ishq pe kuchh
tere sukut se niklin kahaniyan kya kya
na deta husn agar dil ko ishq ka shoala
KHud apni aag mein jaltin jawaniyan kya kya
mizaj-e-ishq ne pakDa na e'tibar ka rang
sharik-e-wahm rahin KHush-gumaniyan kya kya
jaras bhi chup raha TuTi na karwan ki bhi nind
sukut-e-dasht ne kin nauha-KHwaniyan kya kya
pukarti hai 'raza' gard-e-karwan lekin
bani hain bar-e-safar sargiraniyan kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.