sunen na ab koi qissa ubharne walon se
suneñ na ab koī qissa ubharne vāloñ se
ki Dar chuke haiñ bahut yuuñ bhī Darne vāloñ se
sanad milī thī unheñ sang-āshnā.ī kī
vo Dar ga.e the habāboñ pe marne vāloñ se
adā-e-talḳh-kalāmī kā dard sab ko thā
gila kisī ko na thā kaan bharne vāloñ se
guzarte lamhoñ ke maqrūz ban ke nikle the
hisāb lene lage the Thaharne vāloñ se
har ek bazm meñ 'shāhid' zabān gang rahī
bahut qarīb the ham baat karne vāloñ se
sunen na ab koi qissa ubharne walon se
ki Dar chuke hain bahut yun bhi Darne walon se
sanad mili thi unhen sang-ashnai ki
wo Dar gae the hababon pe marne walon se
ada-e-talKH-kalami ka dard sab ko tha
gila kisi ko na tha kan bharne walon se
guzarte lamhon ke maqruz ban ke nikle the
hisab lene lage the Thaharne walon se
har ek bazm mein 'shahid' zaban gang rahi
bahut qarib the hum baat karne walon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.