suni hai raushni ke qatl ki jab se KHabar maine
sunī hai raushnī ke qatl kī jab se ḳhabar maiñ ne
charāġhoñ kī taraf dekhā nahīñ hai lauT kar maiñ ne
farāz-e-dār se apnoñ ke chehre ḳhud hī pahchāne
faqīh-e-shahr ko jaanā nahīñ hai mo'tabar maiñ ne
bhalā sūraj kī tarf kaun dekhe kis meñ himmat hai
tire chehre pe Daalī hī nahīñ ab tak nazar maiñ ne
yaqīnan āñdhiyoñ ne aa liyā kūñjoñ kī Dāroñ ko
ki ḳhūñ-ālūda dekhe haiñ fazā meñ bāl-o-par maiñ ne
tumhāre ba.ad maiñ ne phir kisī ko bhī nahīñ dekhā
nahīñ hone diyā ālūda dāmān-e-nazar maiñ ne
hazāroñ ārzūeñ rah ga.iiñ gard-e-safar ho kar
sajā rakkhī hai palkoñ pe vahī gard-e-safar maiñ ne
dam-e-ruḳhsat mirī palkoñ pe do qatre the ashkoñ ke
kiyā hai zindagānī ke safar ko muḳhtasar maiñ ne
maiñ apne ghar meñ ḳhud apnoñ se baazī haar baiThā huuñ
abhī sīkhā nahīñ apnoñ meñ rahne kā hunar maiñ ne
'surūr-ambālvī' apne hī dil meñ us ko paayā hai
jise ik umr tak āvāz dī hai dar-ba-dar maiñ ne
suni hai raushni ke qatl ki jab se KHabar main ne
charaghon ki taraf dekha nahin hai lauT kar main ne
faraaz-e-dar se apnon ke chehre KHud hi pahchane
faqih-e-shahr ko jaana nahin hai mo'tabar main ne
bhala suraj ki tarf kaun dekhe kis mein himmat hai
tere chehre pe Dali hi nahin ab tak nazar main ne
yaqinan aandhiyon ne aa liya kunjon ki Daron ko
ki KHun-aluda dekhe hain faza mein baal-o-par main ne
tumhaare baad main ne phir kisi ko bhi nahin dekha
nahin hone diya aaluda daman-e-nazar main ne
hazaron aarzuen rah gain gard-e-safar ho kar
saja rakkhi hai palkon pe wahi gard-e-safar main ne
dam-e-ruKHsat meri palkon pe do qatre the ashkon ke
kiya hai zindagani ke safar ko muKHtasar main ne
main apne ghar mein KHud apnon se bazi haar baiTha hun
abhi sikha nahin apnon mein rahne ka hunar main ne
'surur-ambaalwi' apne hi dil mein us ko paya hai
jise ek umr tak aawaz di hai dar-ba-dar main ne
- Book : Pakistani Adab (Pg. 513)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.