suni hai usne na apni kabhi sunai hai
sunī hai us ne na apnī kabhī sunā.ī hai
hamāre beach faqat ik yahī laḌā.ī hai
kisī ne ḳhud se tarāshā hai us ko thoḌā bahut
kisī ke vāste duniyā banī-banā.ī hai
bhale ye sar hī kaTe par kahīñ jabīñ na jhuke
hamāre purkhoñ ne daulat yahī kamā.ī hai
ye zindagī ye ḳhushī aur ġham bhī tum bāñTo
tumhāre paas to vaise bhī kul ḳhudā.ī hai
'munīb' aise zamāne meñ huuñ utārā gayā
jahāñ malāl hai mātam hai nā-rasā.ī hai
suni hai us ne na apni kabhi sunai hai
hamare beach faqat ek yahi laDai hai
kisi ne KHud se tarasha hai us ko thoDa bahut
kisi ke waste duniya bani-banai hai
bhale ye sar hi kaTe par kahin jabin na jhuke
hamare purkhon ne daulat yahi kamai hai
ye zindagi ye KHushi aur gham bhi tum banTo
tumhaare pas to waise bhi kul KHudai hai
'munib' aise zamane mein hun utara gaya
jahan malal hai matam hai na-rasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.