suni sunai wo aawaz mar hi jaane do
sunī sunā.ī vo āvāz mar hī jaane do
sadī kā ġham hai to lamhe bikhar hī jaane do
maiñ apnī jaan kī baazī lagā.e baiThā huuñ
har ik balā mire sar se guzar hī jaane do
lahū ke chhīñToñ se ho jā.egī fazā gulnār
hamāre siine meñ ḳhanjar utar hī jaane do
ye intishār kā aalam ye pur-ḳhatar māhaul
azīzo kākul-e-gītī sañvar hī jaane do
tumheñ bhulāne se dil ko sukūn miltā hai
tum apnī yādoñ ke ye zaḳhm bhar hī jaane do
'habāb' sab ke liye ek dars-e-ibrat hai
use bhī chand ghaḌī ko ubhar hī jaane do
suni sunai wo aawaz mar hi jaane do
sadi ka gham hai to lamhe bikhar hi jaane do
main apni jaan ki bazi lagae baiTha hun
har ek bala mere sar se guzar hi jaane do
lahu ke chhinTon se ho jaegi faza gulnar
hamare sine mein KHanjar utar hi jaane do
ye intishaar ka aalam ye pur-KHatar mahaul
azizo kakul-e-giti sanwar hi jaane do
tumhein bhulane se dil ko sukun milta hai
tum apni yaadon ke ye zaKHm bhar hi jaane do
'habab' sab ke liye ek dars-e-ibrat hai
use bhi chand ghaDi ko ubhar hi jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.